OwnSkin logo
English
Select Phone Model
Hi,Guest (Login | Sign Up)



To sign my guestbook, you need to signin first.
Alice1701 12 years ago
Sache pyar ko paana kisi ke naseeb mein nahi hai….. Agar pyar karke kuch paana hai toh wo siraf gum hai…… Joh log pyar kyu karte hai? Jab pta hai k pyar karke kismat mein sirf tadap, aansu aur gum hai…

Alice1701 12 years ago
Jab bhi kuch sochta hu teri yd aa jati hai. Bethe bethe ankhe meri namm ho jati. Dil rota hai par tu na aati hai. Bs teri yd hi to hai jo mujhe har baar rula jati hai…

Alice1701 12 years ago
Na kar tamanna tu kisi ko pane ki, badi be sard nigahe he is zamane ki, khud ko banale kabil is kadar, ki rakhe log tamanna sirf tuje paneki......:hee::hee::hee::p:p:p

Alice1701 12 years ago
Hi heena thanks sorry aj apko shayari nahi send ki kyu ki ham ab yaha kam ayege is liye lekin jab bhi ayenge inbox mai jarur kuch na kuch likhte jayenge os frds and thanks dear

Alice1701 12 years ago
No heena i can't poetry maker i am simple man but i like sad shayri so send to my all sewwt frds ok and thanks alot

Alice1701 12 years ago
har ajnabi chehre mein uski jhalak dikhayi deti hai chalti hai deewani jab, to nazar jhukaye rehti hai dikh jaata hai vo kahin to dhadkan kyun ruk jaati hai chalte chalte jaise koi dor si khich jaati hai paani ki lehron mein bhi jannat dikhayi deti hai chalti hai deewani jab to nazar jhukaye rehti hai aankhen gar mil jaayen to din poora ho jaata hai nazarein phir jhuk jaati hain, pagal mann kho jaata hai barkha ki pehli boonde jab dharti par pad jaati hain is pagli deewani ko phir yaad usi ki aati hai nazrein phir jhuk jaati hain, pagal mann kho jaata hai muskurahat ka lamha phir se wapas aata hai aasman jhilmilata hai, raat jab bhi aati hai ye pagli taaro se uska chehra banati hai raat bhi dhal jaati hai, suraj chadh aata hai is tarah deewani ka poora din kat jaata hai

Alice1701 12 years ago
ek Ansu bankar palko mein machal gaya.. Thamna jo chaha meine jhat galo par fisal gaya.. Bahoot man karta mera mujhe bhi koi gale se lagaye to.. Do pyare mithe bolo se mujhpar pyar jataye to.. Unki yaad ne yu chua mujhko Naam unka aah bankar hotose nikal gaya.. Hum unke samne muskuraye to Unhe hamare khus hone ka guman ho gaya Hamare andar ke dard is Unka mann anjaa ho gaya.. Chalo aisa hi sahi..yeh bhi kya kam hai Hamari muskurat par wo muskuraye to.. hamare palko par chipe aasu ---jo unhe na dikh paye to.. Bita waqt thama tha hamne Wo ret sa muthi se fisal gaya.. Aaj tak hum unhe kya de paye they...... Chaliye aisa hi sahi.... hamara dard...unke hoto par... Muskurat de gaya..

Alice1701 12 years ago
Hosakta hai ab meri himmat na rahi ho ho sakta hai dil mera na sah sake koi naya gum Kahne ko to jana! tum ne bhi bohat kuch kaha tha yahi behter hai ki bhol jaye wo batein hum Sapne to meine bhi bune the! yaad hai Aaj herjai kaho, bewafa, ya jo chaho kaho tum Such kahte ho! wo din bhi kitne ajeeb the per fasle bhi to dekho! pukare bhi to kaise hum Zamane ka dustoor hai bewafai! ye samajhlo tum Ab na sahna koi dard naya, Na dena koi naya zakhm

Alice1701 12 years ago
Aise chup hai ke yeh manzil bhi khadi ho jaise, Tera milna bhi judai ki ghadi ho jaise, Apne hi saaye se har gam laraz jata hu, Raaste mein koyi deewaar khadi ho jaise, Manzile door bhi hai manzile nazdeek bhi hai, Apne hi paaoon mein zanjeer padi ho jaise, Kitne nadaan hai tere bhulane wale ke tujhe, Yaad karne ke liye umar padi ho jaise, Aaj dil khol ke roya hai ramu to yuh Khush hai, Chand lamho ki ye raahat bhi badi ho jaise.

Alice1701 12 years ago
Tum nahi ho tu shaam hotay he Ake saaya sa sar jhukayay huvay Sheher ki bay-charaagh galiyon main Chupkay chupkay say nikal jaata hay Haath main ik sharaab ki botel (dil magar kuch tu behel jaata hay) Jub chalay sard hava ka jhonka Chaltay chaltay theher sa jaata hay Apni aankhon ko neem-waa kar k Haath uthata hay is tarha jaisay Yak nafas, zulf uri ho koi… Is ne dheeray say sanwara jaisay Kabhi is ote main khambay k kareeb Kabhi us chowk nazar aata hay Larkharatay huvay qadmon k nishan Is taraf bhe hain us taraf ko bhe Jaanay kis simt gaya hay saya… Koi jaanay tu bhala ku jaanay? Rang-o-khushbu ki haseen dunya main Kon saayay ko magar pehchanay? Kitna pathar sa hay chehra is ka Haan magar aankh kuch bheegi bheegi Kitnay ujray huvay hain lub is k Aankh jaisay kabhi barsi he nahi Gum hay cigarette k dhuvain main jaisay Zindagi ! saath ko tarsi he nahi Khushk patay, ye hawain ye khazan Teray aanay ki umeedon ka jahan Shub k seenay pay ubhar aata hay Or ye saaya bhe andheron ki tarha Subah hotay he bikhar jata hay Tum nahi ho tu kis qadar veeran Har gali hum ko nazar aatee hay Jaisay ba-waqt-e-naz’a aankhon main (ba-waqt-e-naz'a = marnay ka waqt) Maut, dheeray say theher jatee hay *--------------------------------------------* kisi kay pyaar main likhay huvay geeton k gulaab aaj baazaar main biktay hain, khareeday ga koi? *--------------------------------------------*

Next
Prev
[ < ] [ 6 ] [ 7 ]

Cuming soon

Home
Feedback/Help
©2011 OwnSkin.com